Tuesday, September 30, 2008

Murtikaar

Maine banaain murtiyan, tumne bhi ;Maine keen unse baatein , tumne bhi.
Baaton mein thhe prashn ,mere liye bhi tumhare liye bhi…..
Par ek virodhabhaas…. Maine diye uttar,tumne nahin.
Bolti aankhein,muskurate honthh,har aabhaas ek prashnchinh
Kar ke har sparsh mein uttar talashte…….
Haan maine uttar diye par kya main samajh payee?
Unhe hona hai visarjit , nahin rakh sakti unhe aanchal mein chhupaye:
Har varsh naye putlon par haathh pherna,daraaron ko lepna,
Prashnon ko naye aayaam dena;
Yahee hai meri prakriti .
Naye putlon mein gaye huon ko talashti meri aankhein……..Unke prashn varsh dar varsh nahin badalte,
Badalte hain to mere uttar..kyonki meri talash abhi hai baaki
Aur mujhe dene hain uttar,tumhe nahin.
Phir ek Virodhabhaas……..
Tum ho poojneeya main nahin
Tum ho eeshwar main nahin
Mujhe hai ladna is virodhabhaas se;
Main hoon murtikar ,tum nahin;
Meri har kriti prashansneeya,tumhari nahin.
Tumne prashnon ke uttar nahin diye,
Visarjit to meri murtiyon ko bhi hona hai,tumhari bhi.
Aur apne prashnon ke uttar talashti meri aankhon ne uttar paaya ..
Apni hi gadhi hui murtiyon mein paaya.
Aur yahaan koi virodhabhaas nahin ;
Meri har murti mujhe priya,tumhe bhi.
Par tum ho eeshwar ,poojneeya
Main hoon murtikar tiraskrit.
Pooja ki laalsa nahin na hi hoon main paatra,
Laalsa hai to prashnon ke uttar pane ki
Ho jaaon tiraskrit bhi to kya,meri har murti ho prashansneeya
Visarjit to sabhi ko hona hai mujhhe bhi ….unhe bhi.